Tuesday, 5 March 2013

~~Badban khulne se pahle ka ishara dekhna~~

Badban khulne se pahle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna

yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar
jate jate us ka wo mur k dubara dekhna

kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna

aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

No comments:

Post a Comment