Friday, 29 March 2013

usey mujh se nahi,khud se hi muhabbat ho jati!

merey lafzon ki pehchan agar wo ker leta faraz
usey mujh se nahi,khud se hi muhabbat ho jati!

^^Dosti Tau Udaas Karti Nahi^^

Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Dosti Tau Udaas Karti Nahi


Hum Hamesha Ke Ser Chashm Sahi
Tujh Ko Dekhain Tau Aankh Bharti Nahi


Shab-e-Hijraan Bhi Roz-e-Bad Ki Tarah
Kutt Tau Jaati Hai Par Guzarti Nahi


Sher Bhi Aayton Se Kiya Kum Hein
Hum Pe Mana Wahi Utarti Nahi


Yeh Mohabbat Hai, Sun Zamany Sun
Itni Aasanion Se Marti Nahi


Jiss Tarah Tum Guzaarty Ho Faraz
Zindagi Iss Tarah Guzarti Nahi

Phir itne may0os kyun h0 us ki bewaFayi par Faraz

Phir itne may0os kyun h0 us ki bewaFayi par Faraz,
Tum khud hi t0h kehte thay k w0h sab se Juda hai!!!

Kon Kehta Hy k Nafraton

Kon Kehta Hy k Nafraton Main Dard Hy Faraz
Kuch Mohabbaten Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !!

Shaam-e-Wada Sahi

Sham-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho Faraz
 Aaj Shab Us Ki Furqat Main Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna 

~~Ab aur kya kisi se marasim burhaein hum~~

ab aur kya kisi se marasim burhaein hum
yeh bhi bohut hai, tujhe bhool jaein hum


sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
sunte rahe hein aap hi apni sadaein hum


iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool jaein hum


tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare lotaein hum


woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz
heh heh khuda na karda tujhe bhi rulaein hum

Taash K pat0n ki Manind**

Taash K pat0n ki Manind
hai Zindagi meri..
~.Faraz.~
Jis kisi ne bhi Khela
Taqseem mar diya Mujhe!!!

**zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa**

Aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa


itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa


tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa


zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa


duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa


zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa Faraz
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

Bin Maange He Mil Jaati Hain ...

Bin Mange He Mil Jaati Hain Tabeerain Kisi Ko Faraz .
Koi Khali Hath Reh Jaata Hai HAazaroon Duaaon K Baad .

Faraz Zulm Hy Itni^^

Faraz Zulm Hy Itni
Khud-Aitmadi Bhi

k Raa Bhi Thi Andheri
Aur Chiraag Bhi Na Lia

**Shayad Tu Kabhi Pyasa**

Shayad Tu Kabhi Pyasa Meri Taraf Laut Aaye Faraz
Aankhon Main Liye Phirta Hoon Darya Teri Khatir

kitna pagal hai mera naam mitanay wala...

bhala hathon ki lakeerain bhi mitti hain Faraz
kitna pagal hai mera naam mitanay wala......

Tuesday, 19 March 2013

Allama Iqbal...


Teri imam be hazoor teri namaz be saroor
aysi namaz sy guzr aysy imam sy guzr .....!

Kabhi ay nojwane muslim !.....

tujy is qoam ny pala hai aghosh e muhabat main
kuchal dala tha jis ny paun main taj e sardara.!!

^^juchty nhi bkhshy hoy frdos nazar main ..^^

juchty nahi bakhshy hoy fardose nazr main
janat teri pehaan hai tere khoon e jigar main
mat kr khak k putly pe garoor o benyazi itni 
khud ko khudi main jhank kr dekh tuj ma rakha kya hai.

^^namaaz^^^

badal k bhes pher aty hain hr zamany main
agrcha peer hai adam jawan hain laat o mnaat
ye ek sajda jisy tu girann smjta hai................
hzar sajdy sy dyta hai admi ko najat..............
Prindo ki dunia ka darwaish hn main 
k shaheen bnata nahi ashiyana!!!!!!!

Allama iqbal

Likhna nahi ata to meri jan prha kr 
hojy gi teri mushkil asaan prha kr

perhny k ly agar tujy kuch na mly to
chehro py likhy dard k anwan prha kr

la raib, teri rooh ko taskeen mly gi 
tu qurb k lamhat main, quran prha kr

ajy ga tujy iqbal jeeny ka kareena 
tu sarwar konain(S.W.A) k faarmaan prha kr

shor hai k hogy dunia sy muslman nabood^^


Shor hai k hogy dunia sy muslman nabood
hm ye kehhty hain k thy bhi kahen muslim mojood!

wza ma tm ho nasara to tmadun main hanood
ye muslmaan hain! jinhain dekh kr shrmayn yahud

yu to syed b ho mirza b ho afghan b ho 
tum sabhi kuch ho, btao to muslman b ho!!

Ilam ma bhe saroor hai lakin
ye wo janat hai jis main hoor nahi

^^iss dour ki zulmat main ..^^


Is dour ki zulmat main her qalb preshaan ko!!!!
wo daag e muhabat dy jo chand ko b shrma dy!!

REhta hai wo nazar main chahe kahen b jy 
ankho main ek chehra marqoom ho chuka hai.

^^aab k yu dil ko saza di hum ny .^^

Kon hon Kya hon Kya nahi hon Main
Raaz yeh kholta nahi hon Main

Aik din apnay Dar py Dastak di
Aur phir keh diya, "Nahi hon Main"

be noor c lgti hai us sy bicharh k zndagi
ab charag to jalty hain, per ujala nahi krty

Gham kaa vo zor ab mere andar nahi raha

Gham kaa vo zor ab mere andar nahi raha
Is umr mein, main itna samarvar nahi raha

Is ghar meiN jo kashish thi gayi un dinoN ke sath
Is ghar kaa saayaa ab mere sar par nahi raha

Vo husn E naubahaar, abad shauq jism sun
Rahna tha us ko saath mere, par nahi raha

Mujh mein hi kuch kami thi K behtar main un se tha
Mai shahar mein kisii ke baraabar nahi raha

Rahbar ko un ke haal ki ho kis tarah Khabar
LogoN ke daramiyaan vo aakar nahi raha

Waapas na jaa vahaan K tere shahar mein ‘Munir’
jo jis jagah pe tha vo vahaa par nahi raha

^^yad kr k mujy tkleef hi hoti hogi..^^

yad kr k mujy tkleef hi hoti hogi
eik qissa hon purana sa bhula dy mujh ko

...yun to syed bhe....

yun to syed b ho ,merza b ho, afghan b ho
tum sabhi kuch ho,btao to muslman b ho?

^^wo qatal ho gya badsurton ki bheerh mai..^^


  wo qatal hogya bad surtoon ki bheerh main 
jo sare shehar k aieny saaf krta tha!!!!!!!!

Sunday, 10 March 2013

Bikhar rhy hain meri zandgi k tmam wark ..............
na jane kb koi andhi urha k ly jy ...........................
main kab tak dosro k dukh sambhal k rkhun Faraz
jis jis k hain wo nishani bta k ly jy .........................

Torhi jo us ny hm sy jorhi raqeeb sy 
inshaa! tu mere yaar k bs jorh torh dekh

wo tujh ko bhooly hain to tujh py bhe lazm hai meer!!
khaak daal, aag lga, naam na ly ,yad na kr................

mera karnama zndgi meri hsarton k siwa kuch nahi
ye kia nahi, wo hoa nahi,ye mla nahi, wo raha nahi

^^Meer Taqi Meer...^^

be kuli, be khudi kuch aaj nahi
eik mudat sy wo mizaj nahi

dard agar ye hai to mujhe bs hai
ab dawa ki kuch ahtjaj nahi

hm ny apni sahi ki bht lakin
marz ishaq ka ilaj nahi

shehar kho he ko khob dekha Meer!!
jinas dil ka kahen rawaj nahi
 


Buht hi km nzar aya mujhe ikhlas logo main!
ye dolat bat gae shaid bht hi khas logo main


^Aag thy ibtday .....^^^

Aag thy ibtdaey ishaq main hm
hogy khak intehaa ye hai....

Dil ki maano k zehan ki ya rab
eik qalander to dosra hai wali
wo khawb tha bikhar gya, khyal tha mla nahi
magr dil ko kya hoa ye ku bujha pata nahi

her ek din udas din tamam shab udasian 
kisi sy kya bicharh gya jesy kuch bacha nahi

So baar kaha main ne ...^^


so baar kaha main ne , inkar hai ulfat sy
her bar sada i, tu dil sy nahi kehta!!!!!1

~~Para Hai Vaasta Jis Se Wohi “Teer-o-Tabar” Nikla~~

Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar “Sakht Tar ” Nikla
Para Hai Vaasta Jis Se Wohi “Teer-o-Tabar” Nikla


Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka
Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou “Tang Nazar” Nikla


Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum
Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat “Khaaki Bashar” Nikla 


Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa “Mohsin”
Jisay Hum Umr Samajh Rhay Thay Faqat “Be Maqsad” Safar Nikla

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi...

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

~`Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind~`

Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind
Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Howa Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind
Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Os Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind
Dil Roz Sajaata Hun Mein Dulhan Ki Tarah
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baaraat Ki Maanind
Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Os Ka
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind
Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish
Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind
Os Shakhs Se Milna “Mohsin” Mera Mumkin Hee Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind

Tishnagi K Azaab Rehnay Do

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi K Azaab Rehnay Do


Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do


Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do


Chaand Badal Main Acha Lagta Hai
Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do


Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do


Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”
Baki Saray Sawaab Rehnay Do….!!

~~Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai~~

Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai


Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa’t Aai
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai


Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai


Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai


Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.n Tooti Hai


Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai


Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu “Mohsin”
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai

Diya Khud Se Bujha Dena^^

Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena 


Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena


Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena


Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena


Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena


Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena


Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena


Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena


Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

^^Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay^^

Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay
Tou Hum Kubhi Ke Gharon Ko Palat Gaye Hotay


Qareeb Reh Ke Sulaghnay Se Kitna Behtar Tha
Kisi Muqaam Per Hum Tum Bicharr Gaye Hotay


Kubhi Toryat Ko Ham Muthion Mein Bhar Letay
Kubhi Hawaaon Se Apne Mukaalmay Hotay


Hamaray Naam Pe Koi Charaagh Tou Jalta
Kisi Zabaan Pe Hamaray Bhi Tazkaray Hotay


Ham Apna Koi Alag Raasta Bana Letay
Hamaray Dil Ne Agar Hoslay Kye Hotay

~~Tumhara akss meri saari kayenaat mein tha,~~

Kahbi yeh chup main kabhi meri baat baat main tha,
Tumhara akss meri saari kayenaat mein tha,


Hum ehl-e-ishq bohat bd’gumaan hote hain,
Isi tarah ka koi vasf* teri zaat mein tha..

~~Khud ko itni bhi aziyat nahin di ja sakti,~~

Tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti,
Khud ko itni bhi aziyat nahin di ja sakti,


Jaantey hain ke yaqeen toot raha hai dil par,
Phir bhi ab tarq yeh wehshat ki nahin ja sakti,


Habss ka sheher hai aur is mein kisi bhi surat,
Saans lene ki sahulat nahin di ja sakti,


Roshni ke liye darwaaza khula rakhna hai,
Shab se ab koi ijaazat nahin li ja sakti,


Ishq ne hijar ka azaar to de rakha hai,
Is se barrh kar to reyaayet nahin di ja sakti..

~~Umer Bhar Haalat-e-Safar Mein Rahay~~

Raaston Mein Rahay Na Ghar Mein Rahay
Umer Bhar Haalat-e-Safar Mein Rahay


Lafz Saaray Charaagh Ban Jayein
Vasf Aisa Mere Hunar Mein Rahay


Zeher Saara Shajar Mein Aa Jaye
Ay Khuda Zindagi Samar Mein Rahay


Is Lye Gardishon Ko Paala Hai
Koi Tou Halqa-e-Asar Mein Rahay


Ek Zamaana Gharon Mein Tha Aabaad
Be-Ghar Ham Teri Nazron Mein Rahay


!!Umer Bhar Haalat-e-Safar Mein Rahay!!

Raaston Mein Rahay Na Ghar Mein Rahay
Umer Bhar Haalat-e-Safar Mein Rahay


Lafz Saaray Charaagh Ban Jayein
Vasf Aisa Mere Hunar Mein Rahay


Zeher Saara Shajar Mein Aa Jaye
Ay Khuda Zindagi Samar Mein Rahay


Is Lye Gardishon Ko Paala Hai
Koi Tou Halqa-e-Asar Mein Rahay


Ek Zamaana Gharon Mein Tha Aabaad
Be-Ghar Ham Teri Nazron Mein Rahay

^^Mujhe tum se mohabbat ho gayi hai^^

Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai,
Mujhe tum se mohabbat ho gayi hai,

Kisi ka lamss hai jis ke hunnar se,
Mukammal sab ibaadat ho gayi hai,

Koi din ke liye deewangi bhi,
Mere dil ko ghaneemat ho gayi hai,

Bohat behaal rehte they magar ab,
Humain hijrat ki aadat ho gayi hai,

Gulaab asaar rastey muntazir hai,
Ke mausam ki inaayat ho gayi hai,

Zameen se aasman tak roshni hai,
Meherbaan hum pe fitrat ho gayi hai..

~~Aalim-e-mohabbat mein,~~

Aalim-e-mohabbat mein,
Ik kamaal wehshat mein,


Be-sabab rafaaqat ka,
Dukh uthaana parta hai,


Titliyaan pakarney ko,
Door jana parta hai..

~~Usey kehna yeh udaas honey ke din nahin hain,~~

Zamaney walon se chup ke roney ke din nahin hain,
Usey kehna yeh udaas honey ke din nahin hain,


Main jaan sakti hoon vasl mein asal bhaid kya hai,
Magar haqeeqat shanaas honey ke din nahin hain,


Hamara khud se makaalma bhi neya neya hai,
Kisi badamn ka libaas honey ke din nahin hain,


Abhi to aankhon mein aanusyon ki nami hai baqi,
Zameen-e-dil par pyaas boney ke din nahin hain..

@@Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam@@

Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam 
 Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam

Kis Ne Khail Khaila Hai Kis Ne Hijr Jhaila Hai
Ab Guzar Gaya Jaanan Is Sawaal Ka Mausam


Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shaakh Per Khiltay
Mein Ke Hijr Ka Lamha, TU Visaal Ka Mausam


Dil Ke Ab Tou Sehra Hai Aur Aisay Sehra Mein
Jaanay Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Mausam


Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Rehguzaaron Per
Tere Lams Ka, Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam


Hum Kubhi Tou Dekhain Ge Wehshaton Ke Sehra Mein
Ay Khuda Mohabbat Ke Aitedaal Ka Mausam


~~Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi~~

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi
Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di 


Be-Wafai Ne Khaak Kar Daali
Chaahaton Ki Hari Bhari Daali


Ik Shab Vasl Ki Guzaarish Thi
Os Ne Tasveer Apni Bhijvadi


Tere Gham Ki Jazeerah-e-Dil Mein
Phailti Jaa Rahi Hai Aabaadi


Kis Qadar Baanjh Hoti Jaati Hai
Takht-e-Ikhlaas Teri Shehzaadi


Waqt Zaalim Tha Meri Har Khwaahish
Os Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di

~~Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai~~

Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai
Bohat Tha Jabar Laikin Seh Lia Hai


Azaab-e-Hijr Ab Waapas Palat Jaa
Bohat Din Saath Mere Reh Lia


Nami Aankhon Se Jaati Hee Nahi Hai
Sitam Is Dil Ne Itna Seh Lia Hai


Tujhe Kehna Tha Jo Ehwaal Dil Ka
Dar-o-Deewaar Se Hee Keh Lia Hai

!!Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se!!!

Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se
Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se


Kuch Tou Qaayim Rahay Anaa Ka Bharam
Dekhna Hai Ose Qareenay Se


Yun Tamasha Tou Osko Hona Tha
Jo Ghiri Aarzoo Ke Zeenay Se


Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi
Warna Kia Khauf Os Safeenay Se


Dil Ka Ab Talkhion Se Naata Hai
Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se

~~Umer Raaigaa.n Kardi Tab Ye Baat Maani Hai~~

Umer Raaigaa.n Kardi Tab Ye Baat Maani Hai
Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hee Kahani Hai


Khail Jo Bhi Tha Jaana.n Ab Hisaab Kia Karna
Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai


Vasl Per Bhee Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah
Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai


Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta
Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai


Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye
Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai

~~Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi~~

Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay
Sab Iraaday Sambhaal Kar Rakhay


Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke
Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay


Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein
Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay


Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi
Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay


Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke
Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay


Jab Hawaa Ka Mizaaj Barham Tha
Ham Ne Pat’tay Sambhaal Kar Rakhay


Aarzoo Ke Haseen Pinjray Mein
Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay


Ham Ne Dil Ki Kitaab Mein Tere
Saaray Waaday Sambhaal Kar Rakhay


Tere Dukh Ke Tamaam Hee Mausam
Ay Zamaanay Sambhaal Kar Rakhay


Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala
Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay

~~Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi~~

Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi


Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi
Mere Baaray Mein Poochta Hee Nahi


Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla Hee Nahi


Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar
Aur Wo Hai Ke Rokta Hee Nahi


Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi


Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi

^Ham Kiun Apnay Aap Se Bhaagtay Phirtay Hain^

Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ham Kiun Apnay Aap Se Bhaagtay Phirtay Hain


Pyaas Ki Shiddat Honton Ki Taqdeer Howi
Aur Ham Qatraa-e-Aab Se Bhaagtay Phirtay Hain


Shaam Dhalay Saari Choupaalain Sajti Hain
Ham Apnay Ehbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain


Khushbuu Ki Tehreer Badan Per Likhi Hai
Aur Safaid Gulaab Se Bhaagtay Phirtay Hain


Ik Kitaab Lye Phirtay Hain Haathon Mein
Aur Zar-o-Asbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain


Unhain Kisi Taabeer Ki Khwaahish Kia Hogi 
 Loog Jo Arsaa-e-Khwaab Se Bhaagtay Phirtay Hain

Aankhon Mein Be-Taab Samandar Hai Phir Bhi
Jaanay Kis Gardaab Se Bhaagtay Phirtay Hain

^Ham Tera Intezaar Kartay Rahay^

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay


TU Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay


Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay


Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay

Iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua..

Yeh hum hi jantey hain judaai ke morr par,
Iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua..

^Bohat Aaraam Karna Chahti Hun^

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun


Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chahti Hun


Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun


Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun


Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai
Ise Naakaam Karna Chahti Hun

^Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga^^

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga


Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga


Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga


Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga


Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga


Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Thursday, 7 March 2013

^^ ye aek sajda jisy tu ...^^


ye eik sajda hai jisy tu graan smjta hai
hzar sajdo sy dyta hai aadmi ko najaat

قرآن میں ہو غو طہ زن اے مرد مسلماں۔۔۔۔۔۔


Quran main ho gotaa zan ay murd e muslmaan
Allah kry tujh ko ataa jiddat e krdaar

^^Maan Apna purana papi hai ..^^


Masjid to bna di shab bhar main emaan ki hrart walo ny
maan apna purana papi hai brsoo main namazi bn na saka

^Dunia k boot kado ma Pehla wo Ghr khuda ka^^


Dunia k boot kado ma Pehla wo Ghr khuda ka
hum us k pasbaan hain , wo pasbaan hmara

Shaer e Mashriq ....


jaha taza ki ifkaar taza sy hai namood
k sang o khasht sy hoty nahi jaha paida

Hai AAshqi ma rasme alag sb sy beathna..^^


Hai AAshqi ma rasme alag sb sy beathna.
buut khana bhi, haram bhi kalisa bhi
soda gari nahi ye ibadat khuda ki hai
ay be khabar !jaza ki tamna bhi chor dy

^^Sajda ay ishaq ho to ibadt mai b mza ata hai ..^^

sajda e ishaq ho to ibadat main mza ata hai 
khali sajdo main to dunia hi basa krti hai

log kehty hain k bs farz ada krna hai
aysy lgta hai jesy koi qarz ada krna hai

tere sajdy kahen tujy kafir na kr dain Iqbal
tu jhukta kahen aur hai , sochta hai kahen aur

Amal Sy zndagi bnti hai ...^^

Amal sy zndagi bnti hai janat b jahanum b .....
ye khaki apni fitrat main na noori hai na naari

^^barrahime nzar paida magar mushkil sy hoti hai...^^

Braheemi nzar paida magar mushkil sy hoti hai
hos chup chup k seeno ma bna lyti hai tasweerain

Is dour ki Zulmat mai her qalb preshaan ko ...


Is dour ki Zulmat mai her qalb preshaan ko ...
wo daag e muhabbt dy jo chand ko shrma dy..

Tuesday, 5 March 2013

``~Barish hui to phulon k tan chak ho gaye``~

Barish hui to phulon k tan chak ho gaye
mausam k hath bhig k saffak ho gaye

badal ko kya khabar k barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khak ho gaye

jugnu ko din k waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad k chalak ho gaye

lahra rahi hai barf k chadar hata k ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq k pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham k namnak ho gaye

sahil pe jitne abguzida the sab k sab
dariya k rukh badalte hi tairak ho gaye

~~Chehra mera tha nigahen us ki~~

Chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

~~Badban khulne se pahle ka ishara dekhna~~

Badban khulne se pahle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna

yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar
jate jate us ka wo mur k dubara dekhna

kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna

aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

Apni ruswai tere nam ka charcha dekhun...

Apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun

nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun

sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun

sab ziden us ki main puri karun har bat sunun
ek bache ki tarah se use hansta dekhun

mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun

tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun

main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun

tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun

^^Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi^^

Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi
tumhin the badle hue ya meri nigahen thin

tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye
tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai

tumhare ohad ki denen tumhen mubarak
so tum ne mera swagat usi tarah se kiya

jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai
takallufan mere nazdik a k baith gaye

phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya
kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli

adab par bhi koi do char tabsare faramaye
magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha

kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat
pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai

ujar rat ki tanhai kya qayamat hai
shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai


gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr
rawayatan hi sahi koi bat to karte

^^beshak sitam janab k sab dostana the^^

sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the
beshak sitam janab k sab dostana the


han jo jafa bhi ap ne ki qayede se ki
han ham hi karband-e-usul-e-wafa na the


aye to yun to k jaise hamesha k meharban
bhule to yun k goya kabhi ashna na the


kyon dad-e-gam ham ne talab ki, bura kiya
ham se jahan main kushta-e-gam aur kya na the


gar fikr-e-zakhm ki to khatawar hain k ham
kyon mahw-e-madh-e-khubi-e-teg-e-ada na the


har charagar ko charagari se gurez tha
warna hamain jo dukh the bahut ladawa na the


lab par hai talkhi-e-may-e-ayyam warna "Faiz"
ham talkhi-e-kalam par mail zara na the




^^ab yahan koi nahin, koi nahin ayega^^

phir koi aya dil-e-zar nahin koi nahin
rahrau hoga kahin aur chala jayega


dhal chuki rat bikharne laga taron ka gubar
lrkharane lage aewanon main khwabida chirag


so gai rasta tak tak k har ek rahguzar
ajnabi khak ne dhundala diye qadamon k surag


gul karo shamain bara do mai-o-mina-o-ayag
apne bekhwab kiwaron ko muqaffal kar lo


ab yahan koi nahin, koi nahin ayega

raushan kahin bahar k imkan huye to hain..

Raushan kahin bahar k imkan huye to hain
gulashan main chak chand gareban huye to hain

ab bhi khizan ka raj hai lekin kahin kahin
goshe rah-e-chaman main gazal-khwan huye to hain

thahari huyi hai shab ki siyahi wahin magar
kuch kuch sahar k rang par-afshan huye to hain

in main lahu jala ho hamara k jan-o-dil
mahfil main kuch chirag farozan huye to hain

han kaj karo kulah k sab kuch luta k ham
ab be-niyaz-e-gardish-e-dauran huye to hain

ahal-e-qafas ki subah-e-chaman main khulegi ankh
bad-e-saba se wada-e-paiman huye to hain

hai dasht ab abhi dasht magar khun-e-pa se "Faiz"
sairab chand khar-e-mugelan huye to hain

**raz-e-ulfat chupa k dekh liya**

Raz-e-ulfat chupa k dekh liya
dil buhot kuch jala k dekh liya

aur kya dekhne ko baqi hai
ap se dil laga k dekh liya

wo mere hok bhi mere na hue
unko apna bana k dekh liya

aj unki nazar main kuch hamne
sabki nazren bacha k dekh liya

'Faiz', taqmil-e-gam bhi ho na saki
ishq ko azma k dekh liya

as us dar se tutati hi nahin
ja k dekha, na ja k dekh liya

^Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten^

Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten
kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten

ye sukhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yad ka
koi lamha subah-e-wisal ka, kai sham-e-hijr ki qurbaten

jo tumhari man len nasiha to rahega daman-e-dil main kya
na kisi udu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten

chalo ao tum ko dikhayen ham jo bacha hai maqtal -e-shahar main
ye mazar ahal-e-safa k hain ye hain ahal-e-sidq ki turbaten

meri jan aj ka gam na kar, k na jane katib-e-waqt ne
kisi apne kal main bhi bhul kar kahin likh rakhi ho masaraten

^Sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the^

Sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the
beshak sitam janab k sab dostana the

han jo jafa bhi ap ne ki qayede se ki
han ham hi karband-e-usul-e-wafa na the

aye to yun to k jaise hamesha k meharban
bhule to yun k goya kabhi ashna na the

kyon dad-e-gam ham ne talab ki, bura kiya
ham se jahan main kushta-e-gam aur kya na the

gar fikr-e-zakhm ki to khatawar hain k ham
kyon mahw-e-madh-e-khubi-e-teg-e-ada na the

har charagar ko charagari se gurez tha
warna hamain jo dukh the bahut ladawa na the

lab par hai talkhi-e-may-e-ayyam warna "Faiz"
ham talkhi-e-kalam par mail zara na the

^Teri ummid tera intazar jab se hai^^

teri ummid tera intazar jab se hai
na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai

ksi ka dard ho karte hain tere nam raqam
gila hai jo bhi kisi se teri sabab se hai

hua hai jab se dil-e-nasabur beqabu
kalam tujhse nazar ko bari adab se hai

agar sharar hai to bharak, jo phul hai to khile
tarah tarah k talab tere rang-e-lab se hai

kahan gaye shab-e-furqat k jagnewale
sitara-e-sahar ham-kalam kab se hai

^^us sham wo rukhsat ka saman yad rahega^^

us sham wo rukhsat ka saman yad rahega
wo shahar wo kucha wo makan yad rahega

wo tis k ubhri thi idhar yad rahegi
wo dard k utha tha yahan yad rahega

ham shauq k shole ki lapak bhul jayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuan yad rahega

kuch mir k abyat the kuch faiz k misre
ik dard ka tha jin main bayan yad rahega

jan bakhsh si thi us gulbarg ki tarawat
wo lams-e-aziz-e-do-jahan yad rahega

ham bhul sak hain na tujhe bhul saknge
tu yad rahega hamen han yad rahega

*dhundle dhundle chehre the par sab jane pahahane the*

Rat k khwab sunayen kis ko rat k khwab suhane the
dhundle dhundle chehre the par sab jane pahahane the

ziddi wahshi alhar chanchal mithe log rasile log
honth un k gazlon k misre ankhon main afsane the

ye larki to in galiyon main roz hi ghuma karti thi
is se un ko milna tha to is k lakh bahane the

ham ko sari rat jagaya jalte bujhte taron ne
ham kyun un k dar pe utre kitne aur thikane the

wahshat ki unwan hamari in main se jo nar bani
dekhenge to log kahenge 'Insha' ji diiwane the

^us sham wo rukhsat ka saman yad rahega^^

us sham wo rukhsat ka saman yad rahega
wo shahar wo kucha wo makan yad rahega

wo tis k ubhri thi idhar yad rahegi
wo dard k utha tha yahan yad rahega

ham shauq k shole ki lapak bhul jayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuan yad rahega

kuch mir k abyat the kuch faiz k misre
ik dard ka tha jin main bayan yad rahega

jan bakhsh si thi us gulbarg ki tarawat
wo lams-e-aziz-e-do-jahan yad rahega

ham bhul sak hain na tujhe bhul saknge
tu yad rahega hamen han yad rahega

^do ashk jane kis liye palkon pe a kar tik gaye^

kal chaudhwin ki rat thi shab bhar raha charcha tera
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera
ham bhi wahin maujud the ham se bhi sab pucha kiye
ham hans diye ham chup rahe manzur tha parda tera
is sheahr mein kis se milen ham se to chuti mahfilen

har shakhs tera nam le har shakhs diwana tera
kuche ko tere chor kar jogi hi ban jayen magar

jangal tere parbat tere basti teri sahra tera
ham aur rasm-e-bandagi ashuftagi uftadagi

ehsan hai kya kya tera ai husn-e-beparwa tera
do ashk jane kis liye palkon pe a kar tik gaye

altaf ki barish teri ikram ka darya tera
ai bedarg-o-beaman ham ne kabhi ki hai fugan

ham ko teri wahshat sahi ham ko sahi sauda tera
tu bewafa tu mahraban ham aur tujh se bad-guman

ham ne to pucha tha zara ye waqt kyun thehra tera
ham par ye sakhti ki nazar ham hain faqir-e-rahguzar

rasta kabhi roka tera daman kabhi thama tera
han han teri surat hasin lekin tu aisa bhi nahin

is shakhs k ashar se shohra hua kya kya tera
beshak usi ka dosh hai kahta nahin khamosh hai

tu ap kar aisi dawa bimar ho acha tera
bedard sunani ho to chal kahta hai kya achhi gazal
ashiq tera ruswa tera shayar tera "Insha" tera

Subah ka hona dubhar kar dein rasta rok sitaron ka

Aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka
subah ka hona dubhar kar dein rasta rok sitaron ka

jhuthe sikon mein bhi utha dete hain aksar sacha mal
shaklen dekh k sauda karna kam hai in banjaron ka

apni zuban se kuch na kahenge chup hi rahenge ashiq log
tum se to itna ho sakta hai pucho hal becharon ka

ek zara si bat thi jis ka charcha pohuncha gali gali
ham gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka

dard ka khna chikh utho dil ka taqaza waza nibhao
sab kuchh sehna chup chup rahna kam hai izzatdaron ka..

ham ko so bar hui subah sahar se pehle

dasht parta hai miyan ishq mein ghar se pehle
chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib

puch lena tha kisi khak basar se pehle
ishq pehle bhi kiya hijr ka gam bhi dekha

itne tarpe hain na ghabraye na tarse pehle
ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal

rat dhalti hi nahin char pahar se pehle
ham kisi dar pe na thithak na kahin dastak di

saikaron dar the meri jan tere dar se pehle
chand se ankh mili ji ka ujala jaga

ham ko so bar hui subah sahar se pehle

^^kuch apni jasarat hoti hai kuch un ka ishara hota hai^^

ham un se agar mil baithte hain kya dosh hamara hota hai
kuch apni jasarat hoti hai kuch un ka ishara hota hai

katne lagin raten ankhon main dekha nahin palakon pe aksar
kabhi sham-e-gariban ka jugnu kabhi subah ka tara hota hai

ham dil ko liye har des phire is jins ka gahak mil na saka
ai banjaro ham log chale ham ko to khasara hota hai

ham apni zaban se kuch bhi kahen shayar hai khayalon se khelen
a jao to baham mil baithe kabhi hijr bhi pyara hota hai

daftar se uthe kaife main gaye kuch sher kahe kuch kafi pi
pucha jo muash ka "Inshaji" yun apna guzara hota ha

^^phir bhi ham se jate jate ek gazal sun jana ho^^

jog bijog ki baten jhuti sab ji ka bahlana ho
phir bhi ham se jate jate ek gazal sun jana ho

sari duniya aql ki bairi kaun yahan par sayana ho
nahaq nam dharen sab ham ko diwana diwana ho

tum ne to ik rit bana li sun lena sharmana ho
sab ka ek na ek thikana apna kaun thikana ho

nagri ngari lakhon dware har dware par lakh sukhi
lekin jab ham bhul chuk hain daman ka phailana ho

tere ye kya ji main ai khinch liye sharma kar hont
ham ko zahar pilane wali amrit bhi pilwana ho

ham bhi jhute tum bhi jhute ek isi ka sacha nam
jis se dipak jalana sikha parwana mar jana ho

sidhe man ko an daboche mithi baten sundar log
'Meer', 'Nazeer', 'kabir' aur 'Insha' sab ka ek gharana ho

^puch lena tha kisi khak basar se pehle^^

chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib
puch lena tha kisi khak basar se pehle


ishq pehle bhi kiya hijr ka gam bhi dekha
itne tarpe hain na ghabraye na tarse pehle


ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal
rat dhalti hi nahin char pahar se pehle


ham kisi dar pe na thithak na kahin dastak di
saikaron dar the meri jan tere dar se pehle


chand se ankh mili ji ka ujala jaga
ham ko so bar hui subah sahar se pehle

Friday, 1 March 2013

Sadma to hai mujhe bhi ki tujhse juda hun main

Sadma to hai mujhe bhi ki tujhse juda hun main
lekin ye sochta hun k ab tera kya hun main

bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud
bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main

main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
apne badan ki qabr mein kabse gara hun main

kis-kiska nam laun zaban par k tere sath
har roz ek shakhs naya dekhta hun main

na jane kis ada se liya tune mera nam
duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main

le mere tajurbon se sabak ae mere raqib
do char sal umr mein tujhse bara hun main

jaga hua zamir wo aina hai "Qateel"
sone se pahale roz jise dekhta hun main

^^sham k sanwale chehre ko nikhra jaye^^

sham k sanwale chehre ko nikhra jaye
kyon na sagar se koi chand ubhra jaye

ras aya nahin taskin ka sahil koi
phir mujhe pyas k dariya mein utra jaye

meharban teri nazar, teri adayen qatil
tujhko kis nam se ai dost pukara jaye

mujhko dar hai tere wade pe bharosa kar k
muft mein ye dil-e-khushfaham na mara jaye

jiske dam se tere din-rat darakhshan the "Qateel"
kaise ab us k bina waqt guzara jaye

tum pucho aur main na bataun aise to halat nahin

tum pucho aur main na bataun aise to halat nahin
ek zara sa dil tuta hai aur to koi bat nahin

kis ko khabar thi sanwale badal bin barse ur jate hain
sawan aya lekin apni qismat mein barsat nahin

mana jiwan mein aurat ek bar mohabbat karti hai
lekin mujhko ye to bata de kya tu aurat zat nahin

khatm hua mera afsana ab ye ansu ponch bhi lo
jis mein koi tara chamke aj ki rat wo rat nahin

mere gam-gin hone par ahbab hain yon hairan "Qateel"
jaise main patthar hun mere sine mein jazbat nahin

"TUmhari anjuman se uth k diwane kahan jate"..

TUmhari anjuman se uth k diwane kahan jate
jo wabasta hue tum se wo afsane kahan jate


nikal kar dair-o-kaba se agar milta na maikhana
to thukaraye hue insan Khuda jane kahan jate


tumhari berukhi ne laj rakh li badakhane ki
tum ankhon se pila dete to paimane kahan jate


chalo acha hua kam a gai diwanagi apni
wagarna ham zamane bhar ko samjhane kahan jate


'Qateel' apna muqaddar gam se begana agar hota
phir to apane-paraye hamse pahchane kahan jate

Tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai...

Tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai
ik diya hai jo andheron mein jala rakha hai

jit le jaye koi mujhko nasibon wala
zindagi ne mujhe da o pe laga rakha hai

jane kab aye koi dil mein jhankne wala
is liye main ne gireban ko khula rakha hai

imtehan aur meri zabt ka tum kya loge
main ne dharkan ko bhi sine mein chupa rakha hai

"Ulfat ki nai manzil ko chala, tu banhen dal k banhon mein"

Ulfat ki nai manzil ko chala, tu banhen dal k banhon mein
dil torne wale dekh k chal, ham bhi to pare hain rahon mein

kya kya na jafayen dil pe sahin, par tum se koi shikwa na kiya
is jurm ko bhi shamil kar lo, mere masum gunahon mein

jahan chandni raton mein tum ne khud hamse kiya iqarar-e-wafa
phir aj hain ham kyon begane, teri beraham nigahon mein

ham bhi hain wahin, tum bhi ho wahi, ye apni-apni qismat hai
tum khel rahe ho khushiyon se, ham dub gaye hain ahon mein

^^wafa k shish mahal mein saja liya main ne^^

wafa k shish mahal mein saja liya main ne
wo ek dil jise patthar bana liya main ne

ye soch kar k na ho tak mein khushi koi
gamon ki ot mein khud ko chupa liya main ne

kabhi na khatm kiya main ne roshani ka muhaz
agar chirag bujha, dil jala liya main ne

kamal ye hai k jo dushman pe chalana tha
wo tir apne kaleje pe kha liya main ne

'Qateel' jiski adawat mein ek pyar bhi tha
us admi ko gale se laga liya main ne

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe
k sang tujhpe gire aur zakhm aye mujhe

wo maharaban hai to iqrar kyun nahin karta
wo badguman hai to sau bar azmaye mujhe

main apne paon tale raundata hun saye ko
badan mera hi sahi dopahar na bhaye mujhe

main ghar se teri tamanna pahan k jab niklun
barhana shahar mein koi nazar na aye mujhe

wo mera dost hai sare jahan ko hai malum
daga kare wo kisi se to sharm aye mujhe

main apni zat mein nilam ho raha hun 'Qateel'
gam-e-hayat se kah do kharid laye mujhe

^yon lage dost tera mujhse khafa ho jana^

yon lage dost tera mujhse khafa ho jana
jis tarah phul se khushbu ka juda ho jana

ahl-e-dil se ye tera tark-e-ta'alluq
waqt se pahle asiron ka riha ho jana

yon agar ho to jahan mein koi kafir na rahe
mojza tere wade ka wafa ho jana

zindagi main bhi chalunga tere piche-piche
tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jana

jane wo kaun si kaifiyat-e-gamkhwari hai
mere pite hi "Qateel" us ko nasha ho jana

*yun chup rahna thik nahin koi mithi bat karo*

yun chup rahna thik nahin koi mithi bat karo
mor chakor papiha koyal sab ko mat karo

sawan to man bagiya se bin barse bit gaya
ras mein dube nagme ki ab tum barsat karo

hijr ki ik lambi manzil ko janewala hun
apni yadon ke kuch saye mere sath karo

main kirnon ki kaliyan chunkar sej bana lunga
tum mukhre ka chand jalao raushan rat karo

 pyar buri shay nahin hai lekin phir bhi yar "Qateel"
gali-gali taqsim na tum apne jazbat karo

*kiya hai pyar jise hamne zindagi ki tarah *

kiya hai pyar jise hamne zindagi ki tarah
wo ashna bhi mila hamse ajnabi ki tarah

bara k pyas meri us ne hath chor diya
wo kar raha tha murawwat bhi dillagi ki tarah

kise khabar thi baregi kuch aur tariki
chupega wo kisi badli mein chandani ki tarah

kabhi na socha tha hamne "Qateel" us ke liye
karega ham pe sitam wo bhi har kisi ki tarah


^^duniya ne ham pe jab koi ilzam rakh diya ^^

duniya ne ham pe jab koi ilzam rakh diya
ham ne muqabil us k tera nam rakh diya

ik khas had pe a gai jab teri berukhi
nam us ka ham ne gardish-e-ayyam rakh diya

main larkhara raha hun tujhe dekh-dekh kar
tune to mere samne ik jam rakh diya

kitna sitamzarif hai wo sahib-e-jamal
us ne diya jala k lab-e-bam rakh diya

insan aur dekhe bagair us ko man le
ik khauf ka bashar ne Khuda nam rakh diya

ab jis k ji mein aye wahi paye raushani
ham ne to dil jala k sar-e-am rakh diya

kya maslahatshanas tha wo adami 'Qateel'
majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya