Wednesday, 27 February 2013

**Sab hanstay hain Sab rautay hain**

Yahaan apni apni baari par!
Yahaan apni apni baari pa

Sab hanstay hain
Sab rautay hain

Dil to sab k hee hotay hain
Dukh bhi sab ko hotay hain

Kuch ashk dilon par girtay hain
Kuch matti may mil jaatay hain

Kuch lafz adaa ho jaatay hain
Kuch honton may sil jaatay hain

Maana k adhooray rehtay hain
Par khuwaab to sab k hotay hain

Kuch kho kar bhi paa laitay hain
Kuch paa kar bhi kho daytay hain

Yahaan apni apni baari par
Sab hanstay hain
Sab rautay hain

No comments:

Post a Comment