Monday, 25 February 2013

Ajab Hijar Prasti Thi Us ki Ftrat Main..

shajar k toote hue patte talash karta tha

tamam raat wo pardey hatta kar chaand k saath
jo kho gaye thay wo lamhe talash karta tha

duain karta tha ujrey hue mazaron par
bare ajeeb sahaare talash karta tha

muje to aaj bataya hay badlon ne WASI
wo laut aane k raaste talash karta tha

No comments:

Post a Comment