Friday, 1 March 2013

^^Woh dil hi kya jo tere milne ki ^^

Woh dil hi kya jo tere milne ki
dua na kare
Mein tujh ko bhool ke zinda rahoon
khuda na kare

Rahe ga pyaar tera saath
zindagi ban kar
yeh aur baat meri
zindagi wafa na kare

Yeh theek hai nahi marta koi
judaii mein
khuda kisi ko kisi se
magar juda na kare

Agar wafa pe bharoosa rahe
na duniya ko
tho koi shakhs mohabbat ke
hoasla na kare

Suna hai uss ko mohabbat
duaein deti hai
jo dil pe choat tho khaye
magar gila na kare

Bujha diya hai naseeboon ne
mere pyaar ka chand
koi diya meri palkoon pe
ab jala na kare

Zamana dekh chuka hai
parakh chuka hai usse,
"Qateel" jaan se jaye magar
iltija na kare..!

Thursday, 28 February 2013

^^Mujhe wo dars e farang aaj yad aty hain^^

Mujy wo dars e frang aaj yad aty hain
kaha hazoor ki lazat, kaha hijab dalil

"Ay bekhbar !jaza ki tamana b chorh dy"..

Hai Ashaqi mai rasm alag sab sy beathna
bootkhana bhi, haram bhi, kalisaa bhi chorh dy..

soda gari nhi ye ibadat hai khuda ki.
ay bekhbar !jaza ki tamana b chorh dy..

""YE DRD SIR NHI DRD JIGAR HAI""

Khudae Ahtmam khushak o tar hai..
khuda wand khudae drd sir hai....

lakin bandgi AstgferuALLAH
YE DRD SIR NHI DRD JIGAR HAI

**Mohabbat ka junun baqi nahin hai...**

Mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khun baqi nahin hai

safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
k jazba-e-andrun baqi nahin hai

ragon mein lahu baqi nahin hai
wo dil, wo awaz baqi nahin hai

namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sab baqi hai tu baqi nahin hai
-----------@@@--------------

Tere ishq ki intaha chahta hun....

Tere ishq ki intaha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun

Sitam ho k ho wada-e-behijabi
Koi bat sabr-azma chahta hun

Ye jannat mubarak rahe zahidon ko
K main ap ka samna chahta hun

Koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
Chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun

Bhari bazm mein raz ki bat kah di
Bara be-adab hun, saza chahta hun

*Ishq qaatil say bhi, maqtool say hamdardi bhi*

Ishq qaatil say bhi, maqtool say hamdardi bhi,
Yeh bta kis say muhabbat ki jaza mangay ga.


Sajda Khaaliq ko bhi, iblees say yarana bhi,
Hashr mein kis say aqeedat ka sila mangay ga.